Top Ad unit 728 × 90

SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training


SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training

Spidero WordPress Course Lecture 02 mein hum aj jaaney gy Difference between Blog and Website. Blog and Website mein kya difference hota hai. Aj ki class mein bohat important class hogi kyun k es mein kuch Freelancing Bonus Tips b add hongi jo ap k bohat kaam ayen gi. Blog & Website Difference ko janey bgair ap freelancing mein client ko deal he nahi ker payen gy kyun ko ap ko in dono mein faraq maloom nahi hoga.
SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training
Last Video mein hum ney Task Box open kia tha and hum ney jana or samja tha k Spidero WordPress Course Videos and Articles mein hum kya kya seekhen gy and es tutorial video mein hum usi first task done kernay ja rahey hein.
Let know about What is Spidero and Spidero WordPress
Tou jantey hein Blog and website mein kya faraq hai. Mein ny Google Chrome browser mein aik taraf Tutorial Markaz Site open ki hui hai and dosri side mein Bluehost website open ki hui hai.
Spidero WordPress course seekhnay se pehly ap ko ye faraq maloom hona chahye. Es Skill k baad Freelancing Field mein agar client Website or Blog bnaney ko keh dy to tab ap soch mein parr jayen gy k What is Blog? and What is Website?. Zaroori nahi k ap freelancer hun tou hee Blog and Website difference ka pata ho. Ap businessman hein or khud se apni buisness website banana chahtey hein tou tab bhi Spidero WordPress Course ap k itna he kaam aye ga. Ap achi khasi earning Online Field k elawah offline field mein b es skill ka faida utha ker hasil ker saktey hein.

What is Blog?

SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training


Blog Website ki aik he shakal hoti hai. Yeh kisi specific purpose k lye use hoti hai. For Example, meri site TuTorial Mrkaz blog site hai. Mein issey specific purpose k lye use kerta hun, es per Blogging, Tutorial Videos, Articles, Skills wagera dalta rehta hun. Mein chahta hun k mein regularly base py es site per Content add kerta rahun or dunia aa ker issey dekhay or es se seekhay. Issey blog kehtay hein. Bohat c Blogging Sites hein jahan dunai jati hai Blog site per commenting, Discussion ho sakti hai or bohat he asaani k sath Blogger or Wordpress services ki through yeh kaam kia ja sakta hai. Quality and regularly updated content daalna achey blog ki nishani samjhi jati hai. Blog mein content add kernay waley ka naam means author name, Comments, Categories, Labels, RSS (Really Simple Syndication) shamil hoti hein.
Learn WordPress Theme Development Completely FREE

What is Website?

SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training

Spidero WordPress course k hawaley se yun keh lyn k yeh aik simple website hoti hai. Normally Website as a business website kehlaati hai jahan services provides ki jati hein. Ab Bluehost Website Web Hosting Website hai. Bluehost apni product Web Hosting sale kerti hai. Yahan per ap ko Blog site waley mazey nahi milty bl k yeh tab he update hogi jb Bluehost website walon ney koi changing kerni hogi, koi new product add kerni hogi ya Web Hosting services update kerni hungi. Es site per aaney wala visitor yeh janta hoga k Bluehost Web hosting sale kerti hai so visitor ya tou web hosting buy kernay aye gay a Bluehost web hosting prices dekhnay aye ga.
SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training

Ab agar ap Tutorial Markaz site ko dekhen tou yahan ap ko different articles show ho rahey hein, ap newspaper imagine Karen us mein Different headlines hoti hein jissey Punjabi language mein SURKHI b kaha jata hai. Her heading k neechey 2 to 4 lines ki news k baad nechy bqiya page number dash dash mention kia hota hai. Same yahi cheez Blog Website per hoti hai. Jaisey yeh Article Heading hai es se nechey short article and then Read More button show ho raha hai, agar mein Read More button open karun tou complete article samney ajaye ga. Full article open honey k baa dap issey parrh saktey hein, Article share ker saktey hein and comment ker saktey hein. Yeh sb cheezen blog mein he hoti hein. Blog websites mein sidebar, categories hein but agar ap Bluehost website ko dekhen tou es mein fix data hai jo shayed he update jab koi rad o badal kerni ho. Es mein ap ko sidebar, Articles nazar nahi arahey or na he categories show ho rahi hein. Jb k blog website per regularly content publish hoty hein. Jaisey mein Tutorial Markaz website per tech information, WordPress, Blogger, Web Development contents add kerta he rahun ga.jis maqsad k lye yeh website banai hai and es maqsad ko 6, 6 maheny baad website ki tarah nahi chala sakta.
SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training


Blog Website mein ap ko menubar jissey navigation bar b kehtay hein, menu bar ko open Karen tou ap ko es mein categories define ki hui milti hein links show hoty hein jb k website mein menu bar tou hota hai magar categories nahi hoti kyun k us mein data zayda nahi hota.

Blog and Website Communication Difference:

A big blog & website difference is Communication Difference. Website mien one-way communication hoti hai jab k blog website mein two-way communication hoti hai. For example agar mein Facebook Group or Facebook page per koi post add kerta hun tou at a time post comments mein jitney marzi log comments ker sakty hein, means mein ney aik communication source create kia and then meri post per meray article ko pasand kernay waly b comment ker rahey hun gy and dislike kernay waley b comments ker rahey hungy. Discussions b chal rahi hogi jab k website mein kisi b jaga ap ko comment box nazar nahi aye ga yahan bas one way communication hoti hai. Website owner apni services k baarey mein bata raha hota hai. Services ko dekhnay wala dil mein he bura bhala keh sakta hai website per nahi.

Blog Website and Google Adsense:

Next yeh k blog website per Google AdSense ki through earning b ki ja sakti hai. Google AdSense b zayda ter blogs per approve hota hai. Kyun k Google Fresh Content require kerta hai. Ab Google ka kaam Information provide kerna hota hai jo hum Google Search se collect kertay hein so jis jaga regularly information update hogi Google b us site ko zyada pasand karey ga or value dy ga, or yeh kaam blog site per hota hai website per nahi, kyun k google janta hai k website wala already apni product sale ker k money earn ker raha hai.

Blog Trending on Website:

Aj kal Websites per aik trend chal raha hai k aksar websites mein Top menu Menubar ya phir footer mein Blog Page bana hota hai or usi k ander blogs yani k articles hotey hein. Aik pori website es mein blog page or phir us k ander articles, comments wagera update ho rahey hotey hein.
Ap freelancer hein tou Fiverr, upwork ya kisi or freelancing sites se client demand kerta hai k ussey aik business website ready kerwani hai and website mein Blog page b add hona chahye tou us demand ko b pora kerna hota hai, kyun k client ko apni website rank kerwani hoti hai wo chahta hai k us ki website Google search mein aye tabhi wo Website Blog Page formula chalata hai. Google Fresh content maangta hai or website per tou fresh content hota he nahi jaisa k mein pehaly bata chukka hun.

Spidero WordPress Course lecture 02 ko yahi khatam kerta hun. Aj ki Wp Training class mein hum ney Blog & website difference ko samja jana or seekha. Mein sirf itna he nahi bta ker WordPress Tutorial ki yeh class khtam ker dun ga k blog & website mein kya faraq hota hai bl k hum blog site b bnayen gy or website b bnayen gy, taa k ap k pas client aa ker jo b demand keray tou ap fori keh sako YES I CAN DO IT, Kyun k Spidero WordPress Course mein sab kuch seekha hai.

Ap ko aj ki yeh class kaisi lagi es k baarey mein mujy ap k comment ka intezar rahey ga. Agar ap article parrh rahey hein tou es article mein btaye ga and agar ap esi lecture video ko dekh rahey hein tou Video comment box mein btaye ga. Kisi b qism ki confusion ho tou ap lazmi pochiye ga mein In Sha Allah pori koshish karun ga k ap ki confusion door ker skun. Es Video and article ko apni social community Facebook, Twitter, Whatsapp jo jo b ap use kertay hein us sb jaga lazmi share kejye ga. Mein ap ko mashwara dunga k es article ko parrhney k baad video ko b sath mein lazmi dekh lia Karen ta ko ap ko step by step practically sb kuch dekh ker samaj asakey.
Apna bohat sara khyal rakhiye ga.


Shaad Rahen :)






SPIDERO WordPress Course Difference Between Blog Site and Website WP Training Reviewed by Tutorial Markaz on Wednesday, November 28, 2018 Rating: 5

1 comment:

  1. As soon as we obtained on your web site despite the fact that obtaining thing to consider essentially fairly little bit submits. Enjoyable technique for forthcoming, I'm book-marking simultaneously obtain types finish increases up-wards. Web Development

    ReplyDelete

All Rights Reserved by Urdu Hindi Tutorial Videos | Tutorial Markaz © 2018 - 2019
Designed by Asim Mehmood

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.