SPIDERO WordPress Course Training Introduction in Urdu Hindi
SPIDERO WordPress Course Training Introduction in Urdu Hindi
Agar Ap Dus pass ho or koi aisi skill nahi hai jo ap ki life ko set kernay mein madad dey. Ap k pas Computer Laptop Internet hai or usey thora bohat chlana b aata hai. Agar Ap kuch ban’na chahtey hein. Kuch kerna chahtey hein. Ap creative hona chahtey hein tou Tutorial Markaz Ap k lye laya hai Spidero WordPress Course.
Es Aik article ko parrh ker ap ko decide kerna hai k ap ne apni life change kerni hai ya nahi. Mein yeh nahi kahun ga k mera YouTube channel subscribe Karen, mein sirf itna kahun ga k sirf es aik article ko pora parrh lejye, guaranty se kehta hun article parrhney k bad ap aik soch ko apney andar jga kr Yes or No k drmyan mein kharrey ho jyen gy. Then ap faisala ker lejye ga k subscribe kerna chahye ya nahi. Jo mein es article mein kehney ja raha hun usy seekhna chahye ya nahi.
Ap online / Offline earning kerna chahtey hein tou aik task aik niyat aik iradey k sath is course ko follow and learn kerna shuru ker dyn. Apney ander aik goal set ker lyn k skill to achieve kerni hai tou mein In Sha Allah guaranty deta hun k ap ka career bn jye ga.
Ab online field means Internet world mein online earning k lye bohat sarey log Web Developer, Web Designer, Graphics Designer, Blogger, Youtuber and Freelancer ban’na chahtey hein magar in sab k lye aik strong skill hona chahye. Chahy inn mein se koi b field ho in sb skills ka relation Freelancing k sath lazmi connect hota hai.
Ap mein se bohat sarey log Freelancing k barey mein b jantey hungy. What is Freelancing? How to become freelancer? Tou is ka simple sa jawab hai k freelancing aik aisey he hai jaisey aik stall maila laga hua hai or us mailey mein different stalls lagey huye hein. Her staller ny apni apni skill samney rkhi hui hai or skill sale ker raha hai. Freelancing aik aisa platform hai jahan apni skill ko apply ker k apni creativity sale ki jati hai or money earn ki jati hai.
Ap mein se bohat sarey log Freelancing k barey mein b jantey hungy. What is Freelancing? How to become freelancer? Tou is ka simple sa jawab hai k freelancing aik aisey he hai jaisey aik stall maila laga hua hai or us mailey mein different stalls lagey huye hein. Her staller ny apni apni skill samney rkhi hui hai or skill sale ker raha hai. Freelancing aik aisa platform hai jahan apni skill ko apply ker k apni creativity sale ki jati hai or money earn ki jati hai.
Ap Fiverr, Freelancer dot com, UpWork, Peoplerperhor ko just google search Karen ap kop ta chal jye ga.
Isi mailey mein apni skill utilise kernay k lye mein aik aisi skill start kernay jaraha hun jissey Spidero WordPress Course ka naam dia hai. Tou aye jantey hein Spider WordPress Course ko.
Ab jaisa k mein ny start mein he aik baat kahi k ap k pas aisi koi b skill nahi jiss ki through ap apni life set ker saken tou Tutorial Markaz per aik aisi hee skill ko laya ja raha hai jo ap ko aik professional Online World mein aisi jga la kharra karey gi jiss jga ap starting mein apni pocket money or phir jaisey jaisey es skill mein professional hotey jayen gy wesey wesey ap ghr ka chulha / Kitchen chlaney k qabil b ho jayen gy In Sha Allah. Yeh Sb tb he possible ho sakey ga jb ap k ander mustaqil mizaji jag jaye gi.
Spidero WordPress Course ki baat Karen tou es k lye pehla sawal “What is Spidero?” or doosra sawal “What is Spidero WordPress Course “ Inn k jawab jantey hein. Mein dono sawalon ko aik he jawab mein merge ker k ap ko samjhaney ki koshish kerta hun.
What is Spidero and What is Spidero WordPress Course :
Spider makkri ko kehtay hein, issi spider sy aik character create hua jissey duna ne Spider-man name se jana pehchana. Hollywood Masterpiece Movie Spider-man first time release hui tou dunia ne dekha aik insaan spider getup mein trees to roof, roof to buildings and buildings to Airplane tk pohnchta gya. Yeh apney time mein amazing movie thi jiss ney pori dunia ko hairan ker dia tha, but now sawal yeh hai k aisa kyun hua ? answer is, us paas skill thi aik mahart thi jissey dikha ker wo dunia walon sey arboon ropey akhtey kerta gya or still kerta jar aha hai. In future Spider-man kya karey ga aik dunia isi intezar mein bethi hai. Spider-man film story writer David Koepp ney masterpiece story likhi, us bandey ney spider net making means makrri ko jaal banatey dekha and the makkri ko utha ker wahan aik insaan bitha dia and then spider’s skill us mein daal ker usey whole of the world samney laa ker k apna ap manwa lia. Ap ny b spider net making dekhi hogi k kaisey aik makrri jaal banati hai. Qudrat ne jo usey skill di wo usi skill ki through apna ghar banati jati hai. Makrri ka zikar wesay b hamari Islamic History mein mojood hai.
Mein jo skill ap ko dena chah raha hun wo hai WordPress Course, WordPress course related videos YouTube per bohat sari mil jayen gi or ap k dimaag mein yeh b aya hoga k KHOODA PAHARR NIKLA CHUHA.
Tou hongi bohat sari videos or beshak hein, meri khud aitemadi kis kaam ki agar mein apney kaam ko acha na kahun ap ka self trust kidher agar ap ko apna ap manwaana na aye.
Spidero WordPress Course ko ley ker meri bohat c planings hein es ko ly ker mein bohat kuch ap sb k sath baantna chahta hun, ap ko us jaga tak ly jana chahta hun jahan pohnch ker ap ko mayusi nahi hogi, jahan pohnch ker ap yeh na kahen k apka faisla galat tha.
Requirements of Spidero WordPress Course :
Mein bilkul b demand nahi karun ga ko ap ko Programming aani chahye, means aisi koi terms nahi hogi k ap HTML, CSS, JAVA, PHP learn kernay k baad he Spidero WordPress Course ko seekh saken gy.
Meri demand bus itni k agar ap Dus pass hein and if u have Computer/Laptop and internet tou ap apna ap manwa saktey hein. Ap ko Trees, Roofs, Buildings tak pohnchana mera kaam In Sha Allah or us se aagey Aeroplane tak pohnchna ap ka kaam hai. Mein In Sha Allah inn dreams ko zaroor pora karun ga jo abhi ap ko dikha raha hun bus ap ko Spidero ban’na parrey ga, mujh per aik trust develop kerna parrey ga. Aik sawal ap ko apney ander is article ko parrhney k baad clipboard or noticeboard ki shakal mein apny dimaag mein chipkana parrey ga ko KYA MEIN YEH KER SAKTA HUN ? and es ka jawab mein ap ko abhi dy deta hun k YES YOU CAN DO IT.
Be Ready for Training
Aik soch jaga lyn k ap ko bus karna hai , aik task set ker lyn and irada ker lyn k yeh task achieve kerna hai. Jaisey indian movie 3Idiots mein jb b kuch aisa wesa kaha jata tha tou kaha jata tha k ALL IS WELL, ALL IS WELL, bilkul wesay he Spridero WordPress Course Article complete study kerny k baa dap kahye ga k YES I CAN DO / YES I CAN LEARN
Every person have own style, baat kernay ka style, baat samjney ka style, baat samjhaney ka style, baat kehnay ka style. Mera andaz or meray sikhaaney ka style aisey he hoga k ap ko her cheez bohat he asaani k sath samjh aati jaye gi. Ap meri batai or sikhai hui her aik chez per practice kartey jayen gy tou ap ka khud se dil chahy ga or aagey barrhny ka .
Meray paas es Spidero WordPress Course Skill ko ly ker bolney k lye bohat kuch hai bohat kuch samjhaney or doubt clear karney ko hai or yeh sb mein ne article mein kia b hai. Ap yeh article pora parrheyn or apna maqsad nikaal lyn. Issey parrhney k bad hope so ap kuch aisa b seekh saktey hein jo ap ney pehlay kahi se na seekha ho beshak wo seekha hua aik lafz he kyun na ho.
Spidero WordPress Course Seekhaney k doraan In Sha Allah sath sath earning methods b share kerta jaun ga agr ape s skill k sath freelancer bantey hein tou ap ko freelancing tips b bonus mein milti jayen gy taa k j bap es course ko seekh chukey hun tou kahi b ap k ander koi b kisi b qism ki jijhak na ho.
Yeh tha aj ka first article about Spidero WordPress Course, next article and Tutorial Markaz Channel per mojood video k sath In Sha Allah hum aaghaz Karen gy or janey gy k Spidero WordPress Course mein kya kya shamil hoaga tab tak ap b decide ker lyn k Yes or No k drmayn mein kharrey rehnay k baa dab kis traf chalna hai. Sparking Star ki tarah on off kerna hai apni soch apney faisely ko ya jump kerna hai es skill k lye.
Ap ka interest esi article k baad show ho jaye ga, Tutorial Markaz Site ko subscribe ker lejye kyun k yahan ap bohat kuch milney wala hai jo kahi b nahi milney wala, or Tutorial Markaz Youtube Channel ko subscribe kerna hai ya nahi ye choice b ap k oper rakhi.
In Sha Allah next article and course video k sath hum Spider ki trah jaal banana start keryn gy or phir khud ko manwa b lyn gy.
Dil maaney tou es article ko apni Social community Facebook, Twitter, Instragram and Whatsapp per share lazmi kejye ga ta k kisi ko faida milney k baad mein us ki duaaon mein shamil ho sakun.
Apna bohat sara khayal rakhye ga.
Shaad Rahen
SPIDERO WordPress Course Training Introduction in Urdu Hindi
Reviewed by Tutorial Markaz
on
Sunday, November 25, 2018
Rating:
No comments: