Top Secrets about Web Traffic and How to get Google AdSense Fast
Top Secrets about Web Traffic and How to get Google AdSense Fast
Ap ki website Blogger.com per ho ya WordPress
mein banai ho, Custom Domain ho ya Google Free Domain ho. Website Create kernay
k baad agli jo tensions chal rahi hoti hein k
- How to Rank Website Fast ?
- How to Get Organic Web Traffic Quickly ?
- How to Generate Targeted Traffic for Website ?
Aisey bohat saarey sawalon ko Google Search kia jata hai. YouTube Videos
mein answers ko dhoonda jata hai Tutorial Videos ko dekha jata hai, Method
follow kye jatey hein . Free Web Traffic ya Paid Web Traffic Generate kernay k
formuley website per apply kiye jatey hein.
Internet per bohat sari aisi videos mojood hein
jis sey fake website traffic ko follow kertay huye website per visitors laye
jatey hein . Real Organic Web Traffic free mein laaney ki videos b mojood hein
jiss sey apni website ranking ko improve kia jata hai.
Mein ny
kuch he din pehaly How to Get Free Web Trafic per aik complete tutorial video
banai hai jis mein step by step treeqa btya hai or us video mein ye b btaya hai
k kaisey ap free mein free website traffic generate kernay k sath sath earn
money b ker saktey hein. Agar Ap ny us video ko nahi dekha tou Video
Description mein us ka link mojood hai. Video dekhen or phir comment mein
btayen k web traffic generate karney ka tareeqa real hai ya fake, Agar ap mery
website py yeh blog parrh rahey hein tou is se neechay waly link ko open ker
lyn ap direct usi article per pohanch jaye gy and or zyda behtar treeqay se
method ko samjh jayen gy. Q k is se related article mein full explaination ki
hui hai k web traffic ki through earn money kaisey ki ja sakti hai.
Iss Sb k baad agla sawal
- How to get Google Adsens approval fast?
- What is Google Adsens Policy for website
approval?
- Google Adsense requirements for quickly approval?
Yeh kuch aisey swal hein jo tabh he mind mein
aatey hein jab hum apni website create ker letay hein, acha sa theme template
chahye wo Blogger Template ho ya WordPress Theme Template ho ussey achey se
design ker letay hein, Website Content b daal detay hein, phir hum chahtey hein
k ab apni website se money earn karen.
Mein ap ko btaun ga k yeh sb kaisey bohat asaani
se possible hai. Agar to ap is article ko pora parrhtey hein tou ho sakta hai k
ap ko lagey k meray es article mein koi sachai hai or agar ap ka dil maney tou
jahan itni zyada ap ny apni website k lye efforts ki hein wahan aik effort or ker li jye phir
ap ko In Sha Allah yaqeen b ho jye ga k meray iss article mein ki gyi mehnat
bus ap k lye hee ki gyi hai.
Tou move kertay hein aagey ko or Google Adsense
ko pkartey hein, Lekin agar ap iss article per ya meri website per pehli dafa
kisi na kisi trah aye hein tou mein ap sey request karun ga k iss site ko
subscribe ker lyn taa k mera her new article via notification ap tak directly
pohanch sakey and agar ap meri banai hui tutorial videos ko dekhna chahtey
hein. koi skill lena chahtey hein tou YouTube per mera channel isi naam "
Tutorial Markaz " py mojood hai jahan mein ny WordPress theme Developmentbasics to advanced
and HTML5 & CSS3 Web Development and how to make ownwebsite learning course ki videos banai
hui hein unhey ap dekh saktey hein.
Yahan aik baat un k lye jo free professional website bana'na chahtey hein and make money online kerna chahtey hein tou woh
basics to advanced complete tutorial videos series ko dekh saktey hein ussey
seekh ker follow ker k online earn ker saktey hein.
Ab baat aati hai Google Adsense ki, iss k elawah
b or bohat sarey ads networks like
Media.net, Propellerads, Addnow, Taboola, Adstera and much more. yeh aisey ads
networks hein jahan se website k lye approval bohat asaani k sath li ja skti
hai and in ads networks ki ads website per display ki ja sakti hein or inn se
achi khaasi earning b ki ja sakti hai magar us k lye dimaag chalna shart hai.
But Google Adsense k lye kyun zyda koshish ki
jati hai ? kyun k yeh others ads
networks k muqabley mein zyda earning deta hai.
Agar mein apna experience share kerun tou jab
mein naya naya iss online field mein aya tou YouTube per bohat sari videos ko
dekh dekh ker seekha, samjha or apply kerta gya. Jaisi searching hoti ya jaisi
videos hoti usi ko follow kernay lg jata, financially benifit tou na hua or ye
jhoot b hai k ap raaton raat online earning ker saktey hein and yeh b haqeeqat
hai agar ap mehnat kartey rahen tou aik time k baad internet online field mein
bohat sara paisa earn kia ja sakta hai, Beshak ap freelancer hun, Web Developer
hun, Web Page Designer, Graphics designer hun, YouTube channel chala rahey hun
ya blogging kertay hun, mehnat rang zror laati hai.
YouTube and Dailymotion per bohat sari aisi
videos b hein jiss mein aik baat se daraya jata hai k third party domain ya
Blogspot.com domain per Google AdSense approval nahi deta. AdSense approval
Google Free Domain per b milti hai. Jinn logon ny website bna li hoti hai wo
jab aisi videos ko dekh letay hein tou unhey apni ki hui saari ki saari mehant
fazool c lagney lgti hai, kyun k un k pas aik high level domain buy kerney k
sources ( Visa card, Master Card, Payoneer, Paypal ) nahi hotey or jab yeh
sun'ney ko mil jata ha k free domain py Google AdSense nahi milta.
Agar mein ap ko apni Tutorial Markaz wbesite dikhaun tou ap k samney
Tutorialmarkaz.blogspot.com domain show ho rahi hai, agar neechay ayen tou yeh
iss website layout ko b dekhain or yahan ap ko Googls Ads b lagi hui nazar
arahi hein.
Iss Site mein aisa kya jo Google AdSense ny
approval dy di or ads show ho rahi hein tou iss sb mein koi b rocket science
nahi hai. Google demand kerta hai k website responsive ho tou yeh responsive
hai. Content neat and clean ho tou wo b neat and clean hai. Website header,
menu Bar, sidebar, layout, body area, footer area achey se design ker lia jaye,
Theme Template mobile friendly and SEO Friendly ho, Website loading speed best
ho tou phir aik free domain py he aa k ruk nahi jana chahye, aagey brrhna
chahye, cheezon ko samjhna chahye. Google Adsense polices strict zaroor hein
magar kabhi degrade nai kerta. Google bas aik cheez Quality maangta hai,
standard maangta hai.
Quality ap sb mein hai bas un ko apply kerna
seekhen, agar ap online money earn kernay ki niyat k sath us jaga tk aye hein
or just free domain py aa k ruk gye hein tou khud k sath zydati na karen yahi
tak khud ko mehdood na karen.
Yeh Sb kehnay ka maqsad bas itna hai k mein b aik
time py aisi videos ko dekhnay k baad ruk gya tha, mujhey lga tha k jab tak
mein kisi trah domain buy nahi karun ga meri mehnat ka fiada nahi hoga mein
aagey nahi brrh skun ga.
Beshak .com , .net, .org jaisi high level domains
ap ki website ki value increase ker deti hein magar jb tak ap k pas online
paisey denay k options nahi hein tou kya tb tak ap kuch b nahi karen gy? mein
ruka tha mgar meri soch nahi ruki thi kyun k mein ny jo start lia tha usy agey
tk ly jana tha,
Mei ap se b yahi kahun ga k Allah ka naam ly ker
agey barrhein iss level tak pohnchain or us khushi ko mehsoos karen jo ap ko
tahan tak mehnat karney k baad Google Adsense Ads ko apni website per dekh ker
miley gi.
YES YOU CAN EARN MONEY ONLINE WITH YOUR BLOGGER
WEBSITE
Mein In Sha Allah bohat jald theme customization
per videos series la raha hun jiss mein different Blogger theme templates ko
complete customize ker k ap ko standard and professional website create kerna
sikhaun ga ta k ap kahi b ruk na jayen.
Mjy kahi na kahi yaqen hai k ap ko meri yeh ki
hui baten kahi na kahi zroor pasand ayi hun gi. Ap ka time waste hua ya ap k
ander energy i. comment mein btaye ga zroor or is video or website per mojood
article ko share like zroor kejye ga ta k un tak b yeh baat pohnch sakey jo
rukey huye hein jaisey ap rukey huye hein or jaisey mein ruka hua tha.
Top Secrets about Web Traffic and How to get Google AdSense Fast
Reviewed by Tutorial Markaz
on
Friday, November 23, 2018
Rating:
No comments: