Top Ad unit 728 × 90

SPIDERO WordPress Course Difference between WordPresscom & wordPressorg 04


SPIDERO WordPress Course Difference between WordPress.com & wordPress.org 04

Jo bilkul beginner’s hein unhen tou bilkul b pata nahi hoga k WordPress 2 hein and jo thora bohat WordPress ko jantey hein unhey yeh nahi pata hoga k WordPress 2 kyun hein. Hamen Spidero WordPress Course k lecture 04 mein yahi jan’na hai k WordPress 2 kyun hein inn mein kya faraq hai or hamey professional website kis waley wordpress mein banani hogi, specially jab ap Freelancing mein client ko ya kisi or platform per kisi k lye website bana rahey hungy tab aksar clients ko b nahi pata hota k WordPress.com website banwani hai ya WordPress.og wali.

Mein ap ko in dono mein faraq samjata sikhata hun, ap order pakartey time apney client ko guide kejye ga. WP Training ki es class mein aj ikhatti kejiye ga bohat sari freelancing tips and jantey hein k What is the difference between WordPress.com and WordPress.og

Es lecture ko shamil kerna es lye b zaroori tha number aik yeh k hum Spidero WordPress Course seekh rahrey hein tou WordPress Related basic knowledge hamarey lye bohat important hai. Esi knowledge ny hamari skill professional field mein polish kerni hai. 2nd yeh k let’s expose Ap ki client k sath website bananey ki deal ho jati hai or phir ap un se unki hosting k baarey mein pochtey hein tou bohat sarey clients aisey b milley gy jinnehn web hosting k baarey mein kuch b nahi pata hota un k pas koi server nahi hota. Tou jin k sath ap ki deal ho rahi hogi un clients ko guide ap ne kerna hota hai, like jaisey salesman apni product sale ker raha hota hai same aisey he ap ko apni Skill cash karwani hoti hai.  Bohat sarey clients tou aisey b hotey hein k who ap se he web hosting buy kernay ko bol detay hein. Aisa un cases mein hota jab client WordPress Website bananey ko tou keh deta hai magar unhen WordPress se aagey kuch b pata nahi hota.


Google Chrome browser mein aik taraf WordPress.com and new tab mein WordPress.org open ker lyn. Yeh dono websites aik he company ne banai hui hein. Dono mein sources differences hein and yahi hamara WordPress Tutorial Video mein topic hai k WordPress 2 kis lye hein.

Ap WordPress.com website mein footer area mein dekhen tou ap ko Automatic likha nazar aye ga. Isi company ne dono websites ko banaya hai.
WordPress.com mein jo wordpress files banai hein who hamen nahi milti means un files k sources provide nahi kiye jatey. Ap agar WordPress.com mein GET STARTED button click Karen tou next 4 steps complete kernay k baad ap ko website blog bana ker dey dy ga. Ap ko es k lye kuch b nahi buy nahi kerna hoga and na he ap ko server maintain karna parrey ga. Ap Wordpress.com ground tak mehdood ho ker reh jayen gy, es site ki traf bohat sari limitations hungi, Event that ap WordPress theme change nahi kar saktey. WordPress files access nahi ker saktey, Web Hosting approachable nahi hogi kisi file ko edit nahi kia ja sakta.

WordPress training mein aik aham baat b yad rakhiye ga k WordPress HTML, CSS, PHP, JAVASCRIPT AND MYSQLI languages k sath bana hai. Yeh Programming languages filhaal hamara topic nahi hein but ap mein se jo log WordPress Theme Development, HTML and CSS seekhna chahtey hein wo TuTorial Markaz YouTub Channel se videos ko dekh saktey hein seekh saktey hein. Yeh sab advanced skills hein but beginner’s b un videos ko dekhnay k baad professional field mein handsome earning ker saktey hein.

Hum ne without coding website create kerni hai tou WordPress inn languages k sath bana hai. PHP without server nahi chalti, server like ap koi computer b keh saktey hein ya computer k ander aik aisa software jo PHP ko process kerta hai. PHP Language ko read kerta hai phir us k baad us ki output WordPrerss Website ki shakal mein display kerwata hai. WordPress.com ne server apney hath mein rakhey huye hein and common baat hai k un ne website edit or website customize kernay k options b apney pas he rakhy huye hein jinnehy hum change nahi ker saktey.

WordPress.org mein hamey WordPress script milta hai jo hamen server mein install kerna parta hai and server buy kerna parta hai. Jaisa k last video mein Bluehost Web Hosting website ko discuss kia tha usi tarah bohat sari companies like Hostgator, Namecheap, GoDaddy k ealwah b bohat sari aisi web hosting websites hein jahan se web hosting buy ki ja sakti hai. Pakistani web hosting websites b hein but in companies ki services itni achi nahi hoti, jab Web Hosting / Server buy kernay ka time aye ga tab mein ap ko guide kerun ga k ap ko konsi webhosting buy kerni chahye, and don’t worry Spidero WordPress Course k andar hum kuch b buy nai Karen gy. Hum apney PC/ Laptop mein he local server banayen gy jis mein hum WordPress course ki practice keray gy learn Karen gy.


About WordPress Themes in WordPress.com:

WordPress.com hamey WordPress website create kernay k lye limited themes deta hai jo lates designs k nahi hotey. Agar ap WordPress.com mein koi latest theme apni website k lye use kerna chaho tou wo theme ap ko buy kerna parrey ga and after buying WordPress theme b ussey ap edit means theme customization nahi kar saktey.

WordPress.org Themes:

WordPress.org mein latest themes hotey hein. Different countries mein theme competition chal raha hota hai. Theme developers apni theme k lye latest designs ly ker arahey hotey hein and ap WordPress theme buy kertay hein tou us aik WordPress theme se kyi trah ki websites bana saktey hein. Theme customize ker saktey hein.

About Plugins in WordPress.com and WordPress.org:

WordPress.com mein website bananey k baad ap us mein koi plugin nahi laga saktey, What is WordPress Plugin ab yeh sawal ap k mind mein araha hoga, Es ka jawab kuch yun hai k let’s expose, Ap k android mobile mein Photo Editor option nahi hai. Ap google playstore se Photo Editor app download kertay hein install kernay k baad ap apney android mobile gallery mein se kisi b photo ko edit ker saktey hein, same yahi kaam WordPress Script mein WordPress plugins kertay hein, hamen extra functions mil jatey hein jis se apni WordPress website maintain ki ja sakti hai. Plugins developer’s ne with coding plugins bana diye ap ne just install kerna and un installed plugins ka kaam shuru hojata hai.
WordPress.com plugins use kernay k lye inn ka business plan buy kerna parta hai jab k WordPress.org mein ap koi b plugin install ker saktey hein, beshak free plugin ho ya paid plugin ap plugins files edit ker saktey hein and transfer ker saktey hein.

About WordPress AdSense:

WordPress.com mein agr ap ne free blog create kia hoga tou ap us mein Google AdSense ya koi b Ad Network use nahi ker saktey jab k WordPress.org mein server buy kernay k baad 1st day he ads chla saktey hein. WP.com mein business plan buy kero gy tab b kuch limitations k sath azadi mil jati hai but wp.org mein aisa koi b scene nahi hai. Aik basic plan buy kia or us mein aik se zayda websites add b ker saktey hein.

About Google Analytic in WordPress:

WordPress.com mein Google analytic integrate nahi hota jb k WordPres.Org mein hota hai. Basically Google analytic ki through hamari website ka postmortem hota hai, Website traffic kidher se arahi hai, kin keywords ki through arahi hai, Website bounce rate kya hai, Web traffic sources kya hein, kis post ya content searching ki through hamari website traffic generate ker rahi hai yeh sab Google analytic ki through hota hai.

About Ecommerce in WordPress:

Ap E-commerce k baarey mein tou jantey he hungy. Amazone, Alibaba, AliExpress, Gearbest online shopping store’s Ecommerce mein atey hein. WordPress.com mein ap koi b online Shopping store nahi bana saktey jb k WordPress.org mein ap kisi b tarah ki website create ker saktey hein and agar ap ko coding aati ho tou phir tou hr tarah ki website ko banaya ja sakta hai.

About Maintenance in WordPress:

WP Training tutorial video mein aik baat ye b jan’na zaroori hai k Wp.com mein ap apni website ki maintenance nahi ker saktey but WordPress.org mein jb server ap ka, WordPress Script ap ka, Files b ap k paas, plugins access b ker saktey tou website maintenance b ker saktey hein. Sab se barrh ker Website updates, latest theme aya hai ya latest plugin aya hai WordPress update hua hai ye s bap khud se easily ker saktey hein.

Spidero WordPress Course k lecture 04 ko yahi khatam kerta hun. Hope so WordPress Training class mein ap ne kuch naya he seekha hoga. WorPress Tutorial video b esi article mein mojod hai jissey ap dekhnay k baad mazeed achey se learn ker saktey hein. Next lecture mein hum In Sha Allah practically classes start Karen gy.

Aj ki class kaisi lagi, Comment mein batye ga zaroor and es article ko and TuTorial Markaz YouTube channel py video ko share lazmi kejye ga.
Apna bohat sara khayal rakhiye ga.

Shaad Rahen :)
SPIDERO WordPress Course Difference between WordPresscom & wordPressorg 04 Reviewed by Tutorial Markaz on Friday, November 30, 2018 Rating: 5

1 comment:

  1. I enjoy each one of the posts, We appreciated, I would enjoy a lot more info with this particular, due to the fact it's very enjoyable., Be thankful meant for providing. Billboard Designs

    ReplyDelete

All Rights Reserved by Urdu Hindi Tutorial Videos | Tutorial Markaz © 2018 - 2019
Designed by Asim Mehmood

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.