Top Ad unit 728 × 90

Best And Useful Websites For Every Internet User and Students by Tutorial Markaz

Best And Useful Websites For Every Internet User and Students by Tutorial Markaz


Tutorial Markaz mein ap ko khush aamdeed. In Sha Allah aaj is video mein ap ko 10 aisi best and useful websites btai jayen gi jin ka Internet Users ko knowledge hona zroori hai.
Ab yeh 10 Websites ap k lye kahi na kahi Internet ki dunia mein ahmiyat rakhti hein. har kisi ki apni raaye apni pasand hai lekin mein yeh kahun ga inn 10 Websites ka lazmi pata hona chahye.
Note: is article se relatod mukamal tutorial video isi article k end per mojood hai jis mein in tamam websites ka demo dikhaya gya hai.
Best And Useful Websites For Every Internet User and Students by Tutorial Markaz


1- NINITE.COM

Sb sey pehli jo websit hai us ka naam hai Ninite.COM. Shyed ap is website k baarey mein jaantey hn. Ap new Computer/Laptop letay hein tou window karney k baad sb sy pehlay Basics Softwares ki zroorat parti hai.jis k baad hee ap apna PC/Laptop run ker paatey hein.
Ab pehlay tou logoon ko pata hee nahi hota k inn k Computer mein bohat sarey Softwares miss hotey hein phir wo preshan ho rahey hotey hein ko ye error araha hai ye software install nahi ho raha, ya phir jin ko pata b ho to wo different softtwares ki C.Ds ya Google Search per dhoond rahey hotey hein. tou in logoon k lye yeh website 1 gift hai.
Yahan per bohat sarey different Top Browsers Google Chrome, Mozilla Firefox, Opera available hein. is k baad media mein VLC Player, iTunes, Winamp, Audacity k jaisey top media players b mojood hein.
Runtime section mein Latest versions of Java 8, Net Framework, Shockwave best softwares download kiye ja skaty hein,
Antivirus mein AVG, Avast, Malwarebytes or Winrar, 7-zip, Google Earth, Teamviewer k elawah b bohat sarey updated software available hein .
Is k sb se barri khasosiyat yeh hai k just one click aik hee time mein ap un tmaam software's ko download ker saktey hein jo ap ney select kye hn. Google Searching and Crack Softwares ko chorrein or is website ko yaad ker lyn.


2- VIRUSTOTAL.COM

Iss k baarey mein be ho sakta hai ap jantey hun. Yeh 1 online file virus scanner website hai. Virustotal mein taqreeban 60 Antivirus companies scanners mojud hein jo ap ki kisi b qisam ki file ko ya software ko Online Scan ker k btaatey hein k is mein virus hai ya nahi.
Ab nye computer users k sath yahi masla hota hai ko wo koi Image File, Game, Software ya koi or b downloading kerta tou is ko pata be nahi chalta k us k Computer mein virus wali file ya game wagera download ho jati hai or PC Window khrab ker deti hai.yeh 1 best free virus scanner website hai. Ap yahan apney PC or Laptop sy be file upload ker k scan ker saktey hein ya ap kisi file ko download kernay se pehlay us ka link is mein paste kernay k baad scan kerwa saktey hein k is mein kahi virus tou nahi hai.


3-INDEED.COM ( Job Searching Website)

Best Online Job Sites mein sy 1 best website INDEED.COM her country k hisaab sey open hoti hai . Ap United State sy is site ko open ker rahey hein ya ap Canada, China, Rusia kisi b country sy is website ko open kertay hein tou yeh site ap ko usi country ki jobs show karey gi. yahan ap jis city sy hein ap part time job kerna chahtey hein ya full time job kerna chahty hein ap Salary package k hisab sy apni require job search ker saktey hein or bohat hee asani k sath apply ker saktey hein. mera mashwara hai k is website ko lazmi visit kejye ga.


4- NAMECHK.COM

Meri bohat hee favorute websites mein ye 1 yeh website hai. Ap log different Social Sites like Facebook, Twitter, Instagram, Linkedin, GooglePlus per accounts create kertay hein magar sb se brra masla yeh hota hai k tamaam Social Sites per 1 hee naam sy accounts bann nahi paatey, wahan Namechk website apna magic dikhati hai. is site py ap jis naam sey account create kerna chah rahey hein ya domain buy kerna chah rahey hein ya website banana chah rahey hein tou yahan just ap wo naam likh dyn gy or kuch hee seconds mein ye sara data ap k samney show ker dey gi k ap k diye gye naam per kis kis site per account bana hua hai.


Best And Useful Websites For Every Internet User and Students by Tutorial Markaz


5- LASTPASS.COM

Lastpass website be bohat zabardast website hai. Ap Internet per 10,20,50 accounts chla rahey hein or har account ka password yaad rakhna bohat hee mushkil kaam hota hai isi waja sy bohat dafa personal account b hath sy chla jata hai. tou jayen is website per or yeh 1 completely secure free service provide kerti hai. Is site per ap ko 10,20,50 accounts k naam or password ki bajaye sirf 1 master account and master password create kerna hota hai or is k baad ap tension free ho saktey hein q k ap k tamaam accounts passwords 1 hee jaga per ikhatey ho jaty hein or wo na chori ho sktey hein na ap baar baar bhool saktey hein just master password add karen or apny accounts ka data dekh lyn. Ap chahen tou Google Chrome Extension b download ker saktey hein jo k free or paid b hai. Lastpass sign in method Is ka mukmal method isi article mein video k sath mojud hai.


6- STRONGPASSWORDGENERATOR

1 best password generator site. Yeh b 1 best website hai jis ka use ker k ap apney account ko safe and sacure ker saktey hein. ab hota kuch aisey hein k hum aksar apney accounts ka password bohat he easy rakh detay hein taa k humey wo yaad rahey lekin phir hamey pata chalta hai k hamara account hack ho chuka hai or hamey waja b pata nahi chalti. yeh website ap ko Strong Password Generate ker k deti hai jis sy ap k account ki password authority strong ho jati hai.


7-ALTERNATIVETO.NET

Ap ney koi software install kia ho like Adobe Photoshop, Coreldraw, Adobe Illustrator,  koi b kisi b qisam ka software ho magar ap chahtey hn k us software ka alternative software search kia jaye or dekha jaye k best alternative konsa software hai tou Google Searching ki bajaye is website per ap for example " Adobe Photoshop" likh ker search karen gy tou searching result mein bohat sarey powerfull software's ki list ap k samaney ajaye gi. Enjoy


8- SIMILARSITES.COM

Isi tarah 1 or mazydaar website Similarsites.com hai. yahan ap kisi b site ka alternative search ker saktey hein. Ap chahtey hein k Facebook ka alternative samaney aye tou wo ajaye ga, ap Youtube, Dailymotion alternative sites dekhna chahtey hein tou is site ko lazmi visit karen or alternative sites ko enjoy karen.


9- COOLORS.CO

Yeh 1 awesome website kahi jaye tou galat nahi ho ga. Graphics field walon k lye ye site 1 gift hai. Ap Logo Designer hein, Banner Designer hein Web Designer hein tou ap k sath sb sey pehla masla yahi hota hoga k color scheme kaisi honi chahye. project complete karney mein 70% time color scheme set karney mein zaya ho jata hai tou mein ap ko recommend karun ga k is website ko lazmi try karen. yeh 1 color scheme generator website hai. Outstanding Color Scheme, the best color combination as per your requirements generating system tools k sath 1 complete package available hai. ap kisi b image ki color scheme is site per upload ker k nikaal saktey hein . is site ko istemal kaisey kerna hai. is article mein mojood video ko dekhen.

Hope so ap ko yeh article zaroor pasand aya ho ga or yeh b umeed kerta hn k is article ki through ap ko bohat kuch naya jan'ny ko mila ho ga. is article  k comment section mein ap apni raaye zroor dejye ga. Article ko share kejye ga ta k dosrey log b kuch naya jan saken or subscribe ker k hamey apnayat ka ehsaas lazmi dilaye ga.

Best And Useful Websites For Every Internet User and Students by Tutorial Markaz Reviewed by Tutorial Markaz on Monday, October 22, 2018 Rating: 5

No comments:

All Rights Reserved by Urdu Hindi Tutorial Videos | Tutorial Markaz © 2018 - 2019
Designed by Asim Mehmood

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.