Top Ad unit 728 × 90

01 Let's Start Html5 & CSS3 Tutorial Videos For Beginners in Urdu Hindi Introduction

01 Let's Start Html5 & CSS3 Tutorial Videos for Beginners in Urdu Hindi Introduction


Asslam O Alaikum

Tutorial Markaz ki taraf se aik or naye course mein welcome
Is course mein  hum seekhain gey HTML5 and CSS3 ko basic level sy advanced lavel tak.
Ap Web Developer ban'na chahty hein , Ap Web Designer ban ker professionaly Freelancing kerna chahtey hein ya ap programming language seekh ker online/ofline earn money kerna chahtey hein tou mera yeh course ap k lye bohat helpful rahey ga.

From Beginners yani ap ko language ka bilkul b nahi pata tou sb se pehlay yeh baat jaan lein k HTML and CSS k bagair ap kahi b koi b professionally Web Developing nahi ker saktey, han magar internet per bohat se free & paid Web Designer Builder Softwares and tools mojood hein jis se Web Designing bohat jaldi or assani se ho jati hai.
01 Let's Start Html5 & CSS3 Tutorial Videos For Beginners in Urdu Hindi Introduction

Ab tou internet per Drag and Drop Website Builder ka trend b chal raha hai ap free account create ker k chand mintton mein free website create ker saktey hein, in mein sb se ziada famous aaj kal Wix.com, Weebly, Simbla jaisi websites per ap apni marzi se website design ker saktey hein,ya drag and drop Html page builder  lekin yaad rakhein free drag and drop website builder online / offline koi skill nahi hai is ko ly ker ap website developer nai bann saktey. Ap lifetime make money online ya offline earn money kerna chahtey hein tou ap ko step by step Html & CSS ko seekhna hee parrey ga.

Is Course mein ap ko aik aik cheez samjaney, seekhaney ki koshish ki gyi hai. Written material k elawah practically Tutorial Videos b mojood hon gey jiss se ap bohat asaani k sath samjh sakey gy.

Agar ap Html5 and CSS3 course ki tamaam videos ko, methods ko follow kertay hein tou mein guaranty k sath kehta hun k In Sha Allah ap aik professional Website bnaney k qabil ho jayen gey.

Introduction to Html and CSS for Beginners :

What is HTML ??  " Is Html a Programming Language? "

Html Training For Beginners mein sb se pehla sawal yahi nikalta hai k aakhir HTML kya hai kya? HTML programming language hai ? is ka answer ap ko Introduction Tutorial Video mein b mil jaye ga or jab ap HTML courses for beginners ki tamaam videos ko dekhen gy tou ap ko pta chal jaye ga k HTML programming language nahi hai bl k HTML stands for HYPERTEXT MARKUP LANGUAGE hai. it means ko tamaam browsers " Google Chrome, Mozilla Firefox, Opera, Safari Web Browser " wagera read kertay hein, understand kertay hein or support kertay hein. Web Development Languages ko browsers basically overall output Html mein hee detay hein, for ex agar hum website sourse code view karen tou ap ko tamam coding HTML mein hee show ho gi beshak WordPress Coding Language ho ya kisi or programming language mein ho, browser us saari language coding ko read ker k hamen display deta hai..

Difference Between Html and Html5

First of all hum HTML5 Tutorial Videos mein aik aik cheez ko step by step Html learn karen gy. ab HTML5 HTML ka latest version hai jo b changing ya updating hogi wo isi k ander hogi. Bilkul isi tarah CSS mein CSS3 yani CASCADING STYLE SHEET latest version hai.

Waqat k sath sath kuch na kuch naya ataa rehta hai For Ex ap ney 1 Android mobile ya iPhone aik saal pehlay khareeda or phir 2 din pehlay ap usi company ka cell phone letay hein tou sure c baat hai k sal purany or new android features by version mein zameen asmaan ka faraq hoga, yahi scene Html to Html5 & CSS to CSS3 k sath hai. bohat c aisi properties jo CSS old versions mein nahi thi magar CSS3 latest version mein mojood hein. yahi hisaab Html5 ka hai or isi waja se Web Designing in html or web development khubsoorat hoti ja rahi hai.
01 Let's Start Html5 & CSS3 Tutorial Videos For Beginners in Urdu Hindi Introduction


Why Learn HTML and CSS? :

Ab sawal yeh nikalta hai k HTML ko q seekha jaye tou jaisa k oper btya hai k isey seekhnay ka maqsad yeh hota hai k we build own website from scratch. Agar ap in dono languages HTML&CSS ko seekh jatey hein tou first achievment in web development/web designing maani jaye gi. is k baad Javascript, JQuery, Bootstrap, AngularJS, Joomla and WordPress ko seekhna bohat asaan ho jata hai. Agar Ap k mind mein ho k HTML and CSS learning k bagair ap website developer bann saktey hein tou ye nimumkin hai.

What does HTML do? :

is ka agar jawab talash karen tou yeh jawab bonta hai k HTML hamarey web page structure ko describe kerta hai. Is mein different HTML elements hotey hein, ya woh building block hotey hein jiss per HTML kharra hoata hai. Agar mein simple c example dn tou agar hum koi building ya ghar tameer ker rahein hein tou us k lye rait bajri cement ki zarorat hoti hai yeh sb us ghar / building ko bananey k lye elements hein. in sb k sath building kharri hoti hai or yeh example is k oper fit ati hai.

Web Development Language mein HTML Elements aik individual component hota hai. aagey aaney waley html course mein jub hum elements ko pakrren gy then usey seekhein gy k at least yeh hota kya hai. Abi k lye itna samajh lyn k HTML markup language hai iss mein jo kuch b likha jatah ai means html codings wo html tags ki shakal mein likhtey hein.
"<HTML> </HTML>"

Yeh aik tag hai <html> ko open tag or </html> close tag kaha jata hai or jitni b coding hoti hai woh inhi k darmyan mein hoti hai. How to use HTML tags, HTML functions, yeh q zaroor hai is k kya kya kamalaat hein woh sb hum aagey ki traf barrhaty hye samjen or seekhen gy.

Agar ap web development seekhna chahtey hein tou yeh baat apney mind mein se nikaal dein k ye bohat mushkil language hai, Bike chalana b ap k lye tb tak he mushkil hota hai jb tak ap usey chla nahi letay.

Is Course mein ap ko aisey he sikhaya jaye ga k kuch hee lectures k baad ap creative hona shuru ho jayen gy. Ap HTML ka markup create kartey hein phir issey CSS k sath style kertay hein or phir mazeed advance bananey k lye PHP, Javascript ko use kia jata hai.

What do CSS ?

Ab jaisa k ap ko bataya k HTML hamarey webpage k ander different elements ko describe kerta hai. Ap aik website k ander header, footer, sidebar or images ko dekhtay hein us mein imag through html lagai hoti hai lekin us website ki look color scheme, sizing, image sizing css k sath hee apply hoti hai. HTML aik simple page file hoti hai us ki overall styling, width, height, widgets sb css k sath hee create hotey hein.


Tou is course mein hum seekhain gy k what is HTML functions of HTML tags and elements. usage of tags and elements. phir basic to advanced move kertay huye we will create a professional website with HTML5 and CSS3.


01 Let's Start Html5 & CSS3 Tutorial Videos For Beginners in Urdu Hindi Introduction Reviewed by Tutorial Markaz on Tuesday, October 23, 2018 Rating: 5

No comments:

All Rights Reserved by Urdu Hindi Tutorial Videos | Tutorial Markaz © 2018 - 2019
Designed by Asim Mehmood

Contact Form

Name

Email *

Message *

Powered by Blogger.